Parde parde mein ataab achche nahin

Parde parde mein ataab achche nahin
aise andaaze hijaab achche nahin

Maykade mein ho gaye chupchaap kyun
aaj kuch maste sharaab achche nahin

aye falaq ! Kyaa hai zamaane ki bisaat
dum ba dum ke inquilaab achche nahin

tu bhi uski zulf e pechaa.n ho gayaa
aye dil aise pecho taab achche nahin

koi bazm e waaiz se kahtaa gayaa
aise jalse besharaab achche nahin

taubaa kar le.n, hum may o maashooq se
bemazaa hain ye sawaab achche nahin

ik najoomi ''Daagh'' se kahtaa thaa aaj
aapke din aye janaab achche nahin

Daagh

Comments

Popular Posts