Phirtaa hai zindagi ke liye aah kHwaar kyaa
Phirtaa hai zindagi ke liye aah kHwaar kyaa
is wahan ki namud ka hai ait'baar kyaa
Kyaa jaane.n hum aseere qafaszaadaa aye naseem,
gul kaise, baagh kahte hain kis ko bahaar kyaa
aankhe.n ba rang e naqsh e qadam ho gayi.n safed,
phir aur koi us ka kare intizaar kyaa
nai wo nigaah chubhi hai na we palke.n gaD gayi.n
kyaa jaaniye ke dil ko hai ye kHaar kHaar kyaa
maaraa ho ek do ko to ho mud'dai koi
kushto.n ka us ke roz e jazaa mein shumaar kyaa
paate hain apne haal mein majboor sab ko hum,
kahne ko ikHtiyaar hai par ikHtiyaar kyaa
aakHir zamaanaa saazi se khoyaa na waqr ''meer''
ye ikHtiyaar tune kiyaa rozgaar kaa
Meer Taqi Meer
Comments
Post a Comment