raunak giraane koocha-e-jaanan chale gaye,
raunak giraane koocha-e-jaanan chale gaye,
saamaniyaan-e-besar-o-saamaaan chale gaye,
thi raunakein kabhi, jo shabon ki vo ab kahan,
khaabida gard-e-sher-e-nigaaraan chale gaye,
kar tehniyat qubool, tere aastaane se,
dushwar tar the, bahut aasaan chale gaye,
lab jumbishi ki, aur hi soorat ho ab koi,
bazm-e-nawaa ke pardaashanaasaan chale gaye,
bazm-e-nawaa ke pardaashanaasaan chale gaye,
ab aap subah-o-shaam masihaai kijiye,
vo chaara naapazeer miyaan jaan, chale gaye,
ab dair baawaron ka, kiya kijiye suraagh,
vo zood baawaraan-e-adabdaan chale gaye,
ae simt-e-ambareen ne, shab-e-intezaar-e-yaar,
vo intezaaryaan-e-sadarmaan chale gaye,
uska badan ajab hawasangez hai ki hai,
hum to miyaan chale bhi gaye, haan chale gaye,
us hinduni ne aisi jafaayein karin ki bas,
hindu the hum, so ho ke musalmaan chale gaye,
tha "jaun" uska naaf-e-piyaala, ki maikadaa,
bas ladkhadaa ke tashnaalabaanaan chale gaye,
Comments
Post a Comment