Sach to ye hai ke gumaa.n hoon main bhi

Sach to ye hai ke gumaa.n hoon main bhi
tu nahin hai to kahaan hoon main bhi

jin mein jal bujh gaye ahbaab mere
un makaano.n kaa dhuwaa.n hoon main bhi

yaad kartaa hoon puraani baate.n
sochtaa hoon ke jawaan hoon main bhi

mujh mein rahti hain ye pariyaa.n kaisi
kyaa koi andhaa kuwaa.n hoon main bhi

jhooT hi jhooT bharaa hai mujh mein
kisi mujrim kaa bayaa.n hoon main bhi

kHwaab mein dekh ke kHud ko ''Alvi''
aisaa lagtaa hai ke haan hoon main bhi

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts