Soz e ghum dai k mujhe us ne ye irshad kya
jaa tujhe kashmakash e dehar se aazad kya
Wo karen bhi to to kin alfaaz mein tera shikwah
jin ko teri nigaa e lutf ne barbaad kya
...
Dil ko chooton ne kabhi chain se rehne na dya
jab chali sard hawa maine tujhe yaad kya
Ab main saw jaan se is tarz e takallum k nisaar
phir to farmaiye kya aap ne irshaad kya
Is ka roona nahi kyon tum ne kya dil barbaad kya
is ka ghum hai k bohat dair mein barbaad kya
Itna maanos hoon fitrat se kali jab bhi khili
jhuk k maine kaha mujh se kuch irshaad kya
Mujh ko to hosh nahi tum ko khabar ho shayad
log kehte hain k tum ne mujhe barbaad kya
Josh Malihaabaadi
Comments
Post a Comment