Telangaanaa
Dayaar e hind kaa wo raahbar telangaanaa,
banaa rahaa hai nayo ik saher telangaanaa
bulaa rahaa hai be simt digar telangaanaa
wo inquilaab kaa paighaambar telangaanaa
imaam e tishnaa labaa.n kHizr raah e aab e hayaat
andheri raat ke seene mein mash'aalo.n ki baraat
miraa sabaab, meri kaayenaat, meri hayaat
salaam e mehr e baghaawat, salaam maah e najaat
siyaah raat jaraayen panaah zulm badosh
siyaah raat mein badkaar mast aur madhosh
siyaah raat mein maqtool asmato.n ki kHarosh
siyaah raat mein baaghi awaam barq badosh
uthe hain tegh bakaf yun basar hazaar jalaal
wo koh dasht ke farzand khetiyo.n ke laal
chamak rahi hai duranti uchal rahe hain kudaal
banaaye qasr e imaat shikasta e paamaal
laraz laraz gire saqaf o baam zardaari
hai paas paas nizaam e halaako o zaari
PaDi hai farq e mubaarak pe zarbat e kaari
hazoor aasif e saab'a pe hai ishq taari
badal rahi hai ye ranj o azaab ki duniyaa
ubhar rahi hai naye aaftaab ki duniyaa
naye awaam nayi aab o taab ki duniyaa
wo rang o noor ki mehfil shabaab ki duniyaa
salaam surkH shaheedo.n ki sar zameen salaam
salaam gharm e buland, aahni yaqeen salaan
mujaahido.n ki chamakti hui zameen salaam
dayaar e hind ki mahboob arz e cheen salaam
MakHdoom Muhi Uddin

Comments
Post a Comment