tere ghuroor ka huliyaa bigaad daalunga,
tere ghuroor ka huliyaa bigaad daalunga,
main aaj tera girebaan faad daalunga,
tarah tarah ke shigoofe jo choddta hai tu,
main dil ka baag-e-namoohi ujaad daalunga,
kahan ka sail-e-ajal ka kinaargaah-e-abad,
main hoon adam, man sabhi ko lataad daalunga,
bahut adaa se tu guzaraa hai chashmaasaaron se,
ye sun ke raah men teri, main baadh daalunga,
ye tay kiya ke, dariyaa-e-mauj-e-masti ko,
saraab-e-dasht-e-tapidaa men gaad daalunga,
tamaam naqsh-e-tamanna fareb the, so the,
main saare naqsh-e-tamanna bigaad daalunga,
jo rishta hai dil-o-jaan ka, hai sar ba sar jhootha,
so, main to ab dil-o-jaan men daraad daalunga,
jhadole baalon ki purfitna, usse keh dena,
main us kamin ko zindaa hi gaad daalunga,
mujhe to ab use dangal men gandaa karna hai,
so, main use bure haloon pachaad daalunga,
Comments
Post a Comment