Tujhe arsh-e-baren se toor tak main laa bhi sakta hon
main jab chahon tere khilwat kade mein aa bhi sakta hon
Nahi inkaar jannat se magar aay dawar-e-mehshar
main insaan hon mukarrar koi dhoka kha bhi sakta hon
...
Meri chup mein bhi koi maslihat hai maikade walon
wagarna main janab-e-sheikh ko samjha bhi sakta hon
Mere ehbaab is ko maut se mansoob kar dain gay
wagarna chand rozah zeest ko thukra bhi sakta hon
Jo barh barh kar daleelen dai rahe hain mere pene ki
dikha kar aaina un ko Asad jhutla bhi sakta hon
Asad Jaafri
Comments
Post a Comment