uska khayal chashm se, sab khwaab le gaya,

uska khayal chashm se, sab khwaab le gaya,
qismien ke ishq jee se, mere taab le gaya,

kin neendon men ab soti hai, ae chshm-e-giriyaa naak,
mizgaan to khol, shehar ko sailaab le gaya,

aave jo mastabe men, to sun lo ki raah se,
waaiz ko ek jaam-e-may-e-naab le gaya,

nedil raha bajaa hai, na sabr-o-hawas-o-hosh,
aaya jo sail-e-ishq, sab asbaab le gaya,

mere huzoor sham`a ne giriyaa jo sar kiya,
roya main is qadar ke, mujhe aab le gaya,

ehwaal us shikaarzabon ka hai jaa-e-rehem,
jis naatwaan ko muft, na qassab le gaya,

moonh ki jhalak se yaar ke behosh ho gaye,
shab ham ko "meer" partaw-e-mahtaab le gaya,

Meer Taqi Meer

Comments

Popular Posts