vo apne aap se bhi, judaa chahiye hamen,

vo apne aap se bhi, judaa chahiye hamen,
uska jamaal uske siwaa chahiye hamen,
har lamhaa jee rahe hain, dawaa ke bagair ham,
chaaragaron tumhaari duaa chahiye hamen,

phir dekhiye jo harf bhi nikle zabaan se,
ik din jo pooch baithiye kya chahiye hamen,

jaana nahin hai ghar se, nikal ke hain magar,
har maahroo ke ghar ka pataa chahiye hamen,

kehne ko haqnigar hain, haqeeqat hai aarzoo,
sach poochiye agar to khudaa chahiye hamen,
hum mauja-e-shameem ki soorat barhanaa hain,
tu rang ban ke aa ki ridaa chahiye hamen,

andaaza-e-sadaa-e-jaras se husool kya?
waamaandgaan hain, dosh-e-sabaa chahiye hamen,

muddat se hum kisi ko nahin de sake fareb,
ae shehar-e-iltefaat, wafaa chahiye hamen,

har aan aakhri hai, magar iske baawajood,
is aan bhi yaqeen-e-fanaa chahiye hamen,

Comments

Popular Posts