Ye aankh hai to ise aisi ab jilaa mil jaaye

Ye aankh hai to ise aisi ab jilaa mil jaaye
parat dilo.n ke khule.n dard kaa pataa mil jaaye

ye khel bhi ho hawas apne haath lambaaye
kahin bhi ho wo meri god mein paDaa mil jaaye

giraa hi doo.n main abhi haftrang deewaare.n
bikhar hi jaaon agar sarphiri hawaa mil jaaye

mile phir aisi zamee.n jiskaa or chhor naa ho
phir us zamee.n pe hume.n aasmaa.n dharaa mil jaaye

Kabhi to baagh kaa paighaam dasht mein aaye
kahin to ret pe chalti hui hawaa mil jaaye

guzar humaaraa bhi sunsaan jungalo.n mein ho
hume.n bhi aag ke badle kahin kHudaa mil jaaye

utartaa Doobtaa jaataa hoon chhup ke dariyaa mein
kisi ki cheekH, koi door ki sadaa mil jaaye

hume.n bhi chaar che naaqid uThaa ke le jaaye.n
adab mein humko bhi do chaar gaz jagah mil jaaye

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts