Ye bhi fareb se hain kuch dard e aashiqui ke

hum mar ke kyaa karenge kyaa kar liyaa hai ji ke
mahsoos ho rahe hain baad e fanaa ke jhonke
khulne lage hain mujh par asraar zindagi ke
shar'ha o bayaan e ghum hai ik matlab e muqayyad
kHaamosh ho.n ke ma'ani sad ha hain kHaamoshi ke
baar e alam uThaayaa rang e nishaat dekhaa
aaye nahin hain yun nai andaaz be hisi ke
Asghar GonDvi

Comments
Post a Comment