ye paiham talkh kaami si rahi kya ?
ye paiham talkh kaami si rahi kya ?
muhabbat zeher khaa ke aayi thi kya ?
mujhe ab tumse dar lagne lagaa hai,
tumhe mujhse muhabbat ho gayi kya?
shikast-e-aitmaad-e-zaat ke waqt,
qayaamat aa rahi thi, aa gayi kya?
mujhe shikwaa nahin bas poochna hai,
ye tum hansti ho apni hi hansi kya?
hamein shikwaa nahin ik doosre se,
manaana chahiye is par khushi kya ?
pade hain ek goshe men gumaan ke,
bhalaa hum kya ? hamaari zindagi kya ?
main rukhsat ho raha hoon, par tumhaari,
udaasi ho gayi hai multavi kya ?
main ab har shakhs se uktaa chukaa hoon,
faqat kuch dost hain, aur dost bhi kya ?
muhabbat men hamen paas-e-anaa tha,
badan ki ishtehaa saadiq na thi kyaa?
nahin rishtaa samocha, zindagi se,
na jaane hummen hai apni kami kya ?
abhi hone ki baaten hain so kar lo,
abhi to kuch nahin hona, abhi kya ?
yahi poocha kiya main aaj din bhar,
har ik insaan ko roti mili kya ?
Comments
Post a Comment