Yeh apne chaahne waalo.n se aapkaa bartaav

Yeh apne chaahne waalo.n se aapkaa bartaav
Yahaan taj aati hai aawaaz lantaraani ki

jo bachpanaa hai to meri taraf se pher lo mu.nh
yeh koi khel nahin maut hai jawaani ki

humaari umr se kuch roz ghaTte jaate hain
qasam huzoor naa khaayaa kare.n jawaani ki

Jaaved Lucknowi

Comments

Popular Posts