yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo

yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo ghazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake pa.Dhaa karo

koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapaak se

ye naye mizaaj ka shahar hai, zaraa faasle se milaa karo

abhi raah mein kai moD hain, koi aayega koi jaayega

tumhein jisne dil se bhulaa diya use bhoolne ki duaa karo

mujhe ishtahaar si lagti hain, ye mohabbaton ki kahaniyaan

jo kahaa nahi vo suna karo, jo suna nahi vo kahaa karo

kabhi husn-e-pardaanashin bhii ho zaraa aashiqana libaas mein

jo main ban-sanvar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo

ye Khiza ki zard-si shaam mein, jo udaas pe'do ke paas hai

ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se hara karo

nahn behijaab vo chaand saa ki nazar kaa koi asar nahin

use tani garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo 


Basheer Badr

Youtube link :: Basheer Badr

Comments

Popular Posts