zindaaniyaan-e-shaam-o-sahar kahiriyat se hain,
zindaaniyaan-e-shaam-o-sahar kahiriyat se hain,
har lamhaa jee rahe hain, magar khairiyat se hain,
sher-e-yaqeen me ab koi damkham nahin raha,
dasht-e-gumaan ke khaakbasar khairiyat se hain,
aakhir hai kaun jo kisi pal keh sake ye baat,
allah aur tamaam bashar kahiriyat se hain,
hai apne apne taur pe har chiz is ghadi,
mizgaan-e-khushk, daaman-e-tar khairiyat se hain,
ab faisalon ka kamnazaron par madar hai,
yaani tamaam ahl-e-nazar khairiyat se hain,
pairon se aablon ka wohi hai muaamlaa,
saudaaiyan-e-haal ke sar, khairiyat se hain,
hum jin gharon ko chodd ke aaye the naagahaan,
shikwe ki baat hai, vo agar khairiyat se hain,
loo chal rahi hai, mehev hai apne men dopahar,
khaak udd rahi hai aur khandar khairiyat se hain,
barbaad ho chuka hai hunar ik hunar ke saath,
aur apne saahibaan-e-hunar khairiyat se hain,
shukr-e-khuda shaheed hue ahl-e-haq tamaam,
barbustawaan-o-teg-o-tabar, khairiyat se hain,
ab uska qasr-e-naaz kahan, aur vo kahan,
bas dar hai aur banda-e-dar khairiyat se hain,
hum hai ki shayari hai hamaare liye azaab,
warnaa tamaam josh-o-jigar khairiyat se hain,
hum ahl-e-shehar apne jawaanon ke darmiyaan,
"jaun" ek mojizaa hai, agar khairiyat se hain,
Comments
Post a Comment