Bulaawaa

Maine saari umr,
kisi mandir mein qadam nahin rak'khaa
lekin jabse
teri du'aa mein
meraa naam shareek huaa hai
tere ho.nTo.n ki ju.mbish par
mere andar ki daasi ke ujlr tan mein
GhanTiyaa.n bajti rahti hain

Parveen Shaakir

Comments

Popular Posts