Hawaa se jung mein hoon be'amaa.n hoon,

Hawaa se jung mein hoon be'amaa.n hoon,
shikastaa kashtiyo.n par baadbaa.n hoon

main sooraj ki tarah hoon dhoop oDhe
aur apne aap par kHud saaybaa.n hoon

mujhe baarish ki chaahat ne Duboyaa
Main puKhtaa shaher kaa pakkaa makaa.n hoon

kHud apni chaal ulTi chalnaa chaahoo.n,
main apne waaste kHud aasmaa.n hoon

du'waaye?n de rahi hoon dushmano.n ko
aur ik humdard par naamehrbaa.n hoon

parindo.n ko du'aa sikhlaa rahi hoon
main basti cHhoD jungal ki azaa.n hoon

abhi tasveer meri kyaa banegi
abhi to kainwas par ik nishaa.n hoon

Parveen Shaakir

Comments