Jab jho.nkaa tez hawaaon kaa

Jab jho.nkaa tez hawaaon kaa
kuch soch ke dheeme guzraa thaa
jab tapte sooraj kaa chehraa
oodi chaadar mein lipTaa thaa
jab sookhi miTTi kaa seena
saa.nso.n ki nami se jaagaa thaa
hum log us shaam ikaTThe the
jisne hume.n ha.ns kar dekhaa thaa
wo pahlaa dost humaaraa thaa
wo shaam kaa pahlaa taaraa thaa
jo shaayad hum dono.n ke liye
kuch waqt se pahle niklaa thaa
jab jhilmil kartaa wo kamraa
sigreT ke dhuwe.nse dhudhlaa thaa
jab nashaa e mai ki talkHi se!
Har shakHs ka lahzaa meeThaa thaa
har fikr ki apni manzil thi
har soch kaa apnaa rastaa thaa
hum log us raat ikaTThe the
us raat bhi kyaa hungaamaa thaa
main mahv e mudaaraat e aalam
aur tumko zauk e tamaashaa thaa
muzoo e sukHan jis par humne
raay di thi aur sochaa thaa
duniyaa ki badalti haalat thi
kuch aab o hawaa ka kissaa thaa
jab sab logo.n ki aankho.n mein
kamre kaa dhu'aa.n bhar aayaa thaa
tab maine khiDki kholi thi !
Tumne pardaa sarkaayaa thas
jisne hume.n dukh se dekhaa thaa
wo shaam kaa pahlaa taaraa thaa
jo shaayad hum dono.n ke liye
us raat saher tak jaagaa thaa
wo shaam kaa pahlaa taaraa thaa..!

Zohraa Nigaah

Comments

Popular Posts