Kuch kHabar laayi to hai baade bahaari uski,

Kuch kHabar laayi to hai baade bahaari uski,
shaayad is raah se guzregi sawaari uski

Meraa chehraa hai faqat uski nazar se raushan,
aur baaqi jo hai mazmoon nigaari uski

aankh uThaa kar jo rawaadaar naa thaa dekhne kaa
wahi dil kartaa hai ab minnat o zaari uski

raat mein aankh mein hain halke gulaabi Dore
neend se palke.n hui jaati hain bhaari uski

uske darbaar mein haazir huaa ye dil aur phir
dekhne waali thi kuch kaarguzaari uski

aaj to us pe Thaherti hi naa thi aankh zaraa
uske jaate hi nazar maine utaari uski

arsaa e kHwaab mein rahnaa hai ke lauT aanaa hai
faislaa karne ki is baar hai baari uski

Parveen Shaakir

Comments

Popular Posts