bicharr k jeena azaab hoga to kiya karo gay

bicharr k jeena azaab hoga to kiya karo gay
qadam qadam per saarab hoga to kiya karo gay

adawaton ka nisaab ab to parha rahay ho
mohabbaton ka nisaab hoga to kiya karo gay

tumhare lab per sawal jo bhi machal raha hai
wohi humara jawab hoga to kiya karo gay

shajar ki chhaaon mili hui hai sukoon mein ho
siron pe jab aaftab hoga to kiya karo gay

tumhari aankhon mein jo basa hai wo khuwaab Taimoor
kisi ki aankhon ka khuwaab hoga to kiya karo gay

Taimoor Hassan

Comments

Popular Posts