CHOTI SIMT KA ALMIYA
bachpan mein amma mujh ko
ek kahani roz sunaya karti theen
shehzade ko
sirf yehi takeed hamesha ki jati thi
teen taraf beshak wo jaye
lekin chothi simt na jaye
aur phir ek din shehzade ne
chothi simt mein
apna ghorra daal diya
jane us per kiya guzra
main to kahani k us morr per so jati thi
phir jab maine hosh sanbhala
duniya dekhi
tab ye jana
shehzadah to teen taraf ja sakta tha
lekin main !
sirf ek simt mein ja sakti hon
Humaira Raahat
ek kahani roz sunaya karti theen
shehzade ko
sirf yehi takeed hamesha ki jati thi
teen taraf beshak wo jaye
lekin chothi simt na jaye
aur phir ek din shehzade ne
chothi simt mein
apna ghorra daal diya
jane us per kiya guzra
main to kahani k us morr per so jati thi
phir jab maine hosh sanbhala
duniya dekhi
tab ye jana
shehzadah to teen taraf ja sakta tha
lekin main !
sirf ek simt mein ja sakti hon
Humaira Raahat
Comments
Post a Comment