Kuch ishq tha kuch majbori thi so maine jewan waar dia

Kuch ishq tha kuch majbori thi so maine jewan waar dia
main kesa zinda aadmi tha ek shakhs ne mujh ko maar dia

Ek sabz shakh gulab ki tha, ek dunya apne khuwab ki tha
wo ek bahar jo aai nahi us k leye sab kuch haar dia

Ye saja sajaya gher sathi meri zaat nahi mera haal nahi
aay kash kabhi tum jan sako jo us sukh ne azaar dia

Main khuli hui ek sachai mujhe jan'ne wale jante hain
maine kin logon se nafrat ki aur kin logon ko piyar dia

Wo ishq bohat mushkil tha magar asan na tha yun jena bhi
us ishq ne zinda rehne ka mujhe zarf dia pindar dia

Main rota hon aur aasman se tare tot'te dekhta hon
un logon per jin logon ne mere logon ko azaar dia

Wo yaar hon ya mehbob mere ya kabhi kabhi milne wale
ek lazzat sab k milne mein wo zakham dia ya piyar dia

Mere bachon ko Allah rakhe in taza hawa k jhonkon ne
main khushk pairr khizan ka tha mujhe kesa barg o bar dia





Obaidullaa Aleem

Comments

Popular Posts