Maalik meray us khuwab ko tabeer atta kar

Maalik meray us khuwab ko tabeer atta kar
jis khuwab ko rakha hai muqaddar se bacha kar

Apne hi khad-o-khal ko main dhond rahi hon
aaine se keh do k mera aks dai laa kar

Aandhi ko ye jaa kar koi paighaam suna dai
rakhay hain deye main ne mundairon pe jala kar

Raste ko koi haadsa pehchan raha hai
ghaire gi qaza phir kisi insaan ko laa kar

Kyon teray meray bech hain ye faasle ya Rab
nazdeek bula apne mujhe, "hurf-e-dua" kar

HUMAIRA RAHAT

Comments

Popular Posts