Mile jab bhi wo mujh se to nishani chor jata hai

Mile jab bhi wo mujh se to nishani chor jata hai
meri sanson mein khushbu ki rawani chor jata hai

Meri neendon k banjar silsile hone lagen jab bhi
meri ankhon mein wo khuwab e jawani chor jata hai

Wo jis ka markazi kirdar hum donon hi hote hain
meri sochon mein wo aesi kahani chor jata hai

Lahu ki baas mein bhega hua akhbaar ka tukra
tabiyat mein ajab baar e girani chor jata hai

Nashebi shehar k IRFAN beronaq muhallon mein
garajte baadlon ka shor pani chor jata hai

IRFAN SADIQ

Comments

Popular Posts