mohabbaton ko nibhanay wala koi nahi hai
mohabbaton ko nibhanay wala koi nahi hai
wafaon k dukh uthanay wala koi nahi hai
isi leye raat dair tak jaagtay hain bachay
unhain kahani sunanay wala koi nahi hai
ye dukh nahi hai k khaa k thokar main gir parra hoon
malaal ye hai uthanay wala koi nahi hai
falak pe ab bhi kai manazir hain dekhnay ko
ye masla hai dikhanay wala koi nahi hai
meri to sad-shukar kat rahi hai baray sukoon se
wagarna haal ab zamanay wala koi nahi hai
poranay qissay walay bohat hain lekin
nai kahani bananay wala koi nahi hai
to main soya rahon ga Taimoor zindagi bhar
to kiya mujhay yaan jaganay wala koi nahi hai
Taimoor Hassan

Comments
Post a Comment