paishhtar is k koi baat uchhaali jaye

paishhtar is k koi baat uchhaali jaye
shehar se rasm-e-mohabbat hi nikaali jaye

eik do din ki judai ho to khamosh rahon
kiya ye acha hai k aadat hi bana li jaye?

eik din aman ka gehwarah banay gi duniya
kaash dil se meray ye khaam khayali jaye

ab to qabrein bhi meri jaan nahi hain mehfoz
ye bhi mumkin hai k mayyat hi utha li jaye

maal asbaab to kiya baqi bachay ga Farhat
itna kafi hai k izzat hi bacha li jaye

Farhat Abbas

Comments

Popular Posts