Aaj Kal
na fikar-e-farda, na yaad-e-maazi
na chain dil ko na beqaraari
na wasal ki larzishen nazar mein
na bebasi, hijar k samay ki
na had say guzra hua junoon wo
na bekali wo pehlay jesi
bas aik udaasi hai dheemi dheemi
bas ek khamshi hai bekaraan si
bas ek benaam si jalan hai
bas ek bedard si thakan hai
jo zindagi k adhoraypan ko
hadon say aagay barrha rahi hai
Shaukat Ali
Comments
Post a Comment