chaar tinkay utha k jungal say

chaar tinkay utha k jungal say
ek baali anaaj ki lay kar
chand qatray say baasi ashkon k
chand faaqay bujhay huay lab per
mut'thi bhar apni qabar ki matti
mut'thi bhar aarzo'on ka gaara
ek tameer k leye hasrat
tera khana badosh bechara
shehar mein dar ba dar bhatakta hai

tera kandha milay to sir tekon!

GULZAR

Comments

Popular Posts