Humain ek ajnabi ki jab rafaqat yaad aati hai

Humain ek ajnabi ki jab rafaqat yaad aati hai
to betarteeb raston ki musafat yaad aati hai

Misaal-e-abar wo kesay barasta aur khulta tha
mohabbat karnay walon ki riyazat yaad aati hai

Sawaad-e-tishnagi ko kis qadar sairaab karta tha
ab us aab-e-rawan ki har inayat yaad aati hai

Koi paataal tha jis mein utar jatay thay hum donon
jahan bas dil dharaktay thay wo khilwat yaad aati hai

Jo hum aawargaan-e-shaam per maamor rehti thi
pas-e-dewaar-o-dar wo ek khalqat yaad aati hai

Wo kehta tha k hum da'em hain aur sab log faani hain
so ab sab log hain, us ki kahawat yaad aati hai

Jo meray saath thi aawargi, wo saath hai meray
jo us k saath rehti thi wo wehshat yaad aati hai

 SALEEM KAUSAR

Comments

Popular Posts