Nazmbasta phaink k lochi bhaaga roshan aara baagh ki jaanib


basta phaink k lochi bhaaga roshan aara baagh ki jaanib
chillata: 'chal guddi chal
pakke jaman tapken gay'

aangan ki rassi say maa nay kaprre kholay
aur tanor pe laa ke teen ki chadar daali

saray din k sokhay paparr
lachchi nay chadar mein lapaitay
'bach gai rabba - kia karaya dhul jana tha'

khairo nay khait ki sokhi matti
jhuriyon walay haath mein lay kar
bheegi bheegi aankhon say phir oper dekha

jhoomk phir uthay hain baadal
toott k phir meenah barsay ga!

GULZAR

Comments

Popular Posts