Tumhe.n waapas bulaati hain

hum apnay aap ko
pat'thar anna k khauf say
jitna bazahir pur sukoon rehnay ki aadat daal lain
par hijar ki bechain yakh basta hawa say
raakh mein dhalti tamanna'ein bhi
aakhir kapkapati hain
sada'ein larrkharrati hain
tumhain maloom to hoga
k kachchi umar ki chahat
hazaron saal bhi dil k kisi gehray samandar mein rahay paband
par
phir bhi kabhi marti nahi
maine bohat arsa tumhain
yaadon, khayalon aur khuwabon ki nigaahon se kia ojhal
magar jaanan
main apnay aap say ab larrtay larrtay thak gaya hon
aur akelaypan k weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
to muddat say thaki haari wafa'ein
sog mein doobay huay kuch geet gaati hain
tumhain wapas bulati hain


Farhat Abbaas Shaah

Comments

Popular Posts