Usay jalwa dikhana hai wo aaye to kidhar aaye

Usay jalwa dikhana hai wo aaye to kidhar aaye
jawab aaya idhar aaye, sadaa aai idhar aaye

Kaha paas e wafadari anokha kis jagah daikha
kaha sokha shajar phir bhi parinday shaakh per aaye

Kaha shaakhen mohabbat ki kahan tak baar uthati hain
kaha is pairr per thora hai jitna bhi samar aye

Kaha dil saaf karna hai to kitna saaf karna hai
kaha itna k dil k paar bhi sab kuch nazar aaye

Kaha aesi koi kashti samandar jis mein dooba ho
kaha aankhon k bajray hain samandar jin mein dar aaye

Kaha aesai guhar daikhay sadaf jin ko tarastay hon?
kaha aankhon ki jholi mein kai aesai guhar aaye

Kaha wo aaina jis mein sitaray jhilmilatay hain
kaha meray tasawwur mein to uski chashm e tar aaye

ADEEM HASHMI

Comments

Popular Posts