Waqt
main urrte hue panchhiyon ko darata hon
kuchalta hua, ghaas ki kalgiyaan
girata hua gardanen in darakhton ki, chhupta hua
jin k peeche se
nikla chala ja raha tha wo suraj....
taq'qub mein tha us k main!
giraftar karne gaya tha usay
jo le k meri umar ka ek din bhaagta ja raha tha!
GULZAAR
Comments
Post a Comment