Wasiyat
jewan bhar meri saanson ne
naam nasab ka bojh uthaya
mar jaon to
mujh per se ye saara bojh hata dena
mera kutba likhna to
us k oper
mera naam mohabbat likhna
aur wafa ko shajar likhna
pesha likhna qalam ki mehnat
umar-e-rawan k aagay likhna
laa hasil khuwaabon ki ginti
ye sab 'ger likh na pao to beshak
meri turbat ko gumnaam hi rakhna
Farhat Nawaaz
Comments
Post a Comment