gham ke tawaaf mei lagi mayusiyo ka zikr

gham ke tawaaf mei lagi mayusiyo ka zikr
ik saaye ki zabaa.n pe hai parchaaiyo ka zikr

khaana-badosh zindagi ka eik jism hai
jis mei hai eik rooh ki be-chainyo ka zikr

deewaar se nikalti hui waqt ki zabaa.n
sooii ghadi ki karti hai khaamoshyo ka zikr

kyu be-qasoor aankhein saza kaant-ti rahii.n
ik khwaab mei hai neendo se be-daariyo ka zikr

kaano mei saayein saayein fazaao ki bhar gaya
ik jhonka, "dasht o sehrra ke veeraniyo ka zikr"

mehmaan ho gayi hain hazaaro udhaasiyaa.n
kya khoob mezbaan hai "tanhaaiyo ka zikr"
 

Noor Uz Zaman

Comments

Popular Posts