ik lafz e mohabbat ka adnaa ye fasaana hai
ik lafz e mohabbat ka adnaa ye fasaana hai
simTe to dil e aashiq, phaile to zamaana hai
kyaa husn ne samjha hai, kya ishq ne jaana hai
hum khaak nasheenoN kii thokar mein zamaana hai
wo husn-o-jamaal unka, ye ishq-o-shabaab apna
jeene kii tamanna hai, marne ka bahaana hai
ashkoN ke tabassum mein,aahoN ke tarannum mein
maasoom mohabbat kaa maasoom fasaana hai
ye ishq nahin aasaa.n itnaa to samajh lenaa
ik aag ka daryaa hai aur Doob ke jaana hai
Jigar Moraadaabaadi
..........................................................

इक लफ़्ज़े मुहब्बत का, अदना ये फ़साना है
सिमटे तो दिल-ए-आशिक़ फैले तो ज़माना है
सिमटे तो दिल-ए-आशिक़ फैले तो ज़माना है
क्या हुस्न ने समझा है, क्या इश्क़ ने जाना है
हम ख़ाक-नशीनों की ठोकर में ज़माना है
हम ख़ाक-नशीनों की ठोकर में ज़माना है
वो हुस्नो-जमाल उनका, ये इश्क़ो-शबाब अपना
जीने की तमन्ना है मरने का बहाना है
जीने की तमन्ना है मरने का बहाना है
अश्कों के तबस्सुम में, आहों के तरन्नुम में
मासूम मुहब्बत का मासूम फ़साना है
मासूम मुहब्बत का मासूम फ़साना है
ये इश्क़ नहीं आसाँ, इतना तो समझ लेना
इक आग का दरिया है, और डूब के जाना है
इक आग का दरिया है, और डूब के जाना है
(जिगर मुरादाबादी)
Comments
Post a Comment