Qarya hairat o imkaan na banaya jaye

Qarya hairat o imkaan na banaya jaye
main hoon mushkil mujhay aasan na banaya jaye

Warna insaaf ki palkon say lahu tapkay ga
kisi insaan ko yazdan na banaya jaye

Meri matti ko faqat matti hi rehnay dijiye
mujh ko is daur ka insaan na banaya jaye

Badsha gar ka gadagar hoon yehi kafi hai
mujh ko shahon ka sana-khuwan na banaya jaye

Mujh ko is gher mein hamesha k leye rehna hai
do gharri k leye mehmaan na banaya jaye

Khaar ko khaar hi rehnay dia jaye Mazhar
yehi behtar hai gulistaan na banaya jaye

Mazhar Niyaazi

Comments

Popular Posts