haan ijaazat hai agar koi kahaani aur hai

haan ijaazat hai agar koi kahaani aur hai
in kaToro.n mein abhi thodaa saa paani aur hai

 mazhabi mazdoor sab baithe hain inko kaam do
 ek imaarat shaher mein kaafi puraani aur hai

 khaamshi kab cheekh ban jaaye kise maaloom hai
zulm kar lo kab talak ye bezubaani aur hai

 khushk patte aankh mei chhubhte hain kaanTo.n ki tarah
 dasht mein phirnaa alag hai baaghbaani aur hai

 phir wahi uktaahaTe.n hongi badan chaupaaal mein
 umr ke qisse mein thodi si jawaani aur hai

 bas isi ehsaas ki shiddat ne booDhaa kar diyaa
TooTe phooTe ghar mein ik laDki sayaani aur hai

Munawwar Raana

Comments

Popular Posts