Mohabbat ki rangeeniyaa.n chhoR aaye... Habib Jaalib
Mohabbat ki rangeeniyaa.n chhoR aaye
tire shaher mein ik jahaan chhoR aaye
PahaaDo.n ki wo mast o shaadaab waadi
jahaan hum dil e naghmaakhwaa.n chhoR aaye
wo sabzaa, wo daryaa, wo peRo.n ke saaye
wo geeto.n bhari bastiyaa.n chhoR aaye
hasee.n panGhaTo.n ka wo chaandi saa paani
wo barkhaa ki rut, wo samaa.n chhor aaye
bahut door hum aa gaye us gali se
bahyt door wo aastaa.n chhoR aaye
bagoolo.n ki soorat yahaa.n phir rahe haib
nasheman sar e gulistaa.n chhoR aaye
ye ajaaz hai husn e aawaargi kaa
jahaan bhi gaye, daastaa.n chhoR aaye
Habib Jaalib
Comments
Post a Comment