Aankh pyaasi hai koi manzar de ... Raahat Indori

aankh pyaasi hai koi manzar de
is jazeere ko bhi samandar de

 apna chehra talaash karna hai
 gar nahin aaina to patthar de

band kaliyo.n ko chaahiye shabnam
in charaagho.n mei roushni bhar de

 pattharo.n ke saro.n se qarz utaar
 is sadi ko koi payambar de

kahkaho.n mein guzar rahi hai hayaat
ab kisi din udaas bhi kar de


phir na kahna ke khudkashi hai gunaah
aaj fursat hai faisla kar de


Raahat Indori

Comments

Popular Posts