masjidon ke sahan tak jaana bahut dushwaar thaa .. Raahat Indori

 masjido.n ke sahan tak jaana bahut dushwaar tha
 der se nikla to mere raaste mein daar thaa

apne hi phailaaw ke nashe mein khoya thaa darakht
aur har mausam Tahni ke phalo.n ka baar thaa

dekhte hi dekhte shahro.n ki raunaq ban gaya
kal yahi chehra tha jo har aaine pe baar tha

sabke dukh sukh uske chehre pe likhe paaye gaye
aadmi kya tha humaare shaher ka akhbaar thaa

ab mohalle bhar ke darwaazo.n pe dastak hai naseeb
ik zamaana tha ke jab main bhi bahut khuddaar thaa

kaaghazo.n ki sab siyaahi baarisho.n mein dhul gayi
humne jo sochaa tere baare mein sab bekaar thaa

Raahat Indori

Comments

Popular Posts