aas hogi na aasra hoga

aas hogi na aasra hoga
aane waale dino.n mein kya hoga

main tujhe bhool jaaunga ek din
waqt sab kuch badal chuka hoga

naam humne likha tha aankho.n mein
aansuwo.n ne mita diya hoga

aasmaa.n bhar gaya parindo.n se
peD koi hara gira hoga

kitna dushwaar tha safar uska
wo sar e shaam so gaya hogaa

Bashir Badr

Comments

Popular Posts