khoo.n darakhto.n ka kar gaya ghaalib,

 khoo.n darakhto.n ka kar gaya ghaalib,
aadmi thaa, mukar gayaa ghaalib

paanw thaamo to Dar gayaa ghaalib
sar sambhaalo to sar gayaa ghaalib



koun jaane kidhar gaya ghaalib
yun bhi lagta hai mar gaya ghaalib

tum ghareebo.n se mil ke aaye ho
chaay waala kidhar gayaa ghaalib

haan, Mughal ke bayaan sunte the
ghaaliban ye, mukar gayaa ghaalib

is zamee.n par hazaar logo.n mein
dekhaa dekhi hi mar gayaa ghaalib

kuch diwaaro.n mein kar gayaa ghaalib
khiDkiyo.n mein thaher gayaa ghaalib

dekhiye baithiye saleeqe se
itna kahkar guzar gayaa ghaalib

apni rooho.n ko bechne waalo
khud se poocho kidhar gaya ghaalib

betahaashaa niDar gayaa ghaalib
shaam leke saher gaya ghaalib

(Is Ghazal mein Ghaalib ka koi role nahin hai)

Arghwan Rabbhi

Comments

Popular Posts