Jaankaari

san 1880 mein Mohammad Hussain Aazaad ne "Aab e Hayaat" naam se ek kitaab likhi, ye kitaab Urdu Shayari ke baare mein thi. Isme.n Urdu shayari ke "pahle" shayar se leke baad ke mash'hoor shayaro.n ke baare mein namoone ke saath jaankaari thi. iska doosra edition 1883 mein nikala gaya aur baad mein kai baar iske kai edition aaye, aaj bhi aate hain. Ye uneesvi.n sataabdi ki Urdu ki sabse zyaada bikne waali kitaab thi.
Aaj agar kisi ko ye kitab chaahiye to Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow se le sakta hai. Kitab ki qeemat 50/- ke aas paas hai.

Comments

Popular Posts