Nazm : Ghum ki chaalees sarphiri raate.n

Ghum ki chaalees sarphiri raate.n
uljhano.n se Ghire hue chehre
aaino.n mein paDe hue chehre
taakte hain taweel saDko.n ko
raasto.n pe khaDe hue chehre
sochtaa hu.n to Dar bhi jaataa hu.n
main andhere mein mar bhi jaataa hu.n
jaane kiskaa wo khwaab paagal saa
jaane kiski wo rooh Ghaayal si
jism mere TaTol jaati hai
kHaali kHaali saa lagne lagtaa hu.n
teergi aag ban ke jalti hai
chaandni naag ban ke Da.nsti hai
sochtaa hu.n tumhaari kuch baate.n
Ghum ki chaalees sarphiri raate.n
chaand ki raushni ke raste par
raat koi nikal ke aaya thaa
roz aataa thaa kHwaab jo lekar
aaj soorat badal ke aayaa thaa
lag rahaa thaa wo aaj waahid saa
lag rahaa thaa ke main nahin usme.n
maine phir sar jhukaa liyaa apnaa...
sun rahaa thaa main dard ki saa.nse.n
gHum ki chaalees sarphiri raate.n

Arghwan Rabbhi

Comments

Popular Posts