Program

aye shakhs agar Josh ko tu dhoondhna chaahe
wo pichhle paher halqa e irfaa.n mein milega

aur sub ha ko wo naazir e nazaara qudrat
tarfe chaman o sahn e biyaabaa.n mein milegaa

aur din ko wo sargushtaa e asraar o maa'aani
shaher e hunar koo ye adibaa.n mein milegaa

aur shaam ko wo mard e kHudaa, rind Kharaabaat
rahmat kade baadaa faroshaa.n mein milegaa

aur raat ko wo khalwati ka kul o rukhsaar
bazm e tarabat koochaaye khoobaa.n mein milegaa

aur hogaa koi jabr to wo bandaa e majboor
murde ki tarah khaanaa o weeraa.n mein milegaa

Josh Malihaabaadi

Comments

Popular Posts