Zawaal e shab mein kIsi ki sadaa nikal aaye

zawaal-e-shab meN kisi ki sada nikal aa'ay
sitaarah Doobe, sitaara numa nikal aa'ay
ajab nahiN, keh ye deryaa nazar ka dhoka ho
ajab nahiN keh, koi raasta nikal aa'ay
woh habs hai keh dua ker rahe haiN saare
chiraagh
ab is taraf koii mauj-e-hawa nikal aa'ay
ye kis ne dast-e-bureedah kii fasl boii thii
tamaam shehr meN nakhl-e-dua nikal aa'ay
khuda kare saf-e-sir'daadgaaN na ho khaalii
jo maiN girooN, to koi doosra nikal aa'ay

Irfan Siddiqui

Comments

Popular Posts