badaa karam hai ye mujh par, abhi yahaan se naa jaao

 badaa karam hai ye mujh par, abhi yahaan se naa jaao
 bahut udaas hai ye ghar, abhi yahaan se naa jaao

 tum aa gaye to sham e gham ke puchh gaye aansu
 yahaan na thaa koi din bhar, abhi yahaan se naa jaao

 abhi to aaye ho dekhaa hain ghar, nahin hai ji bhar ke
 ye aarzu hai ke uthkar, abhi yahaan se naa jaao

 hue ho mujhse judaa jab zaraa tawakkuf se
 sambhal gayaa hoon main aksar, abhi yahaan se naa jaao

 humaari aankhon se chun lo ke phir kisi daamon
 naa mil sakenge ye gauhar, abhi yahaan se naa jaao

 wo aarzuwe.n jo waabastaa tumse hain unko
 chale ho chhor ke kis par, abhi yahaan se naa jaao

 wafoor e gham se jinhen neend aa gayi thi kabhi
 wo yaaden jaag uthin sokar, abhi yahaan se naa jaao

 ruke raho nihaage neem baa se kuch main bhi
 banaa loon apna muqaddar, abhi yahaan se naa jaao

 tumhaare paas ye andaazaa ho rahaa hai mujhe
 ke meraa haal hai behtar, abhi yahaan se naa jaao

 abhi to soye charaaghon ne aankh kholi hai
 abhi to jaagte hain ghar, abhi yahaan se naa jaao

 ruko ruko ke padi hai abhi to raat tamaam
 bahut udaas hai manzar, abhi yahaan se naa jaao

 ye dil charaagh jale se tumhen jahaan bhi raho
 pukaarta hai baraabar, abhi yahaan se naa jaao

 humaari raat chali jaayegi tumhaare saath,
 humaari raat ko lekar, abhi yahaan se naa jaao

 bahut ruke meri khaatir ye sochtaa hoon ke ab,
 kahoon main tumse ye kyunkar, abhi yahaan se naa jaao

 Firaaq Gorakhpuri 

Comments

Popular Posts