bhadkaa rahe hain aag lab e naghmaa gar se ham...

bhadkaa rahe hain aag lab e naghmaa gar se ham
khaamosh kyaa rahenge zamaane ke Dar se ham

kuch aur badh gaye jo andhere to kyaa huaa
maayoos to nahin hain tuloo ek saher se ham

le de ke apne paas faqat ik nazarto hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham

maana ke is zameeN ko na gulzaar kar sake
kuch khaar kam to kar gaye, guzre jidhar se ham

Saahir Ludhiyanwi 

Comments

Popular Posts